“hain. To yahan par ek main doongi ek waqia. Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne bataya ke ek baar aisa tha ke ek aadmi tha jo aise aam aadmi tha, koi khaas namaz roze wala nahi tha. Aam aadmi tha, woh kahin ja raha tha. Pehle zamane mein paidal safar kiya karte the. To wahan gaya to dekha to ek jagah log baithkar Khuda ki yaad kar rahe the. To woh wahan baith gaya. To ittefaq aisa hua ke wahi waqt uska aakhri waqt tha.”